Shab-e-Baraat ki Fazeelat or Ibadaat

Shaban Islami saal ka aathwa (8th) mahina hai. Is mahiney ki bari fazeelat hai or isy tamaam islami mahino’n mein aik khas maqaam hasil hai. Farmaan-e-Mustafa (SW) hai:

“Shaban mera mahina hai or Ramadan Allah (SWT) ka mahina hai.”

If u want to earn online click here!!!!





Isi wajah se is mahiney ko aik khaas ehmiyat haasil hai or tamaam Ummat-e-Muslimah is mahiney ko barey ehtimaam se manaati hai. Mah-e-Shaban mein tqreeban Ehl-e-Bait ki paidaish k din hain or shayad isi liye Huzoor (SW) ne isy apna mahina kha hai. Yun toh is tamaam mahiney mein Allah (SWT)  ka khaas karam rehta hai mgr iski 15 shab ki bht fazeelat hai. Is shab ko Laila-tul-Bara’at ya’ani (Shab-e-Baraat) kha jaata hai. Is raat ko Allah k nabi Hazrat Dawood (AS) ne aasmaan ki taraf dekha or farmaya:

“Aaj ki raat jo kuch bhi Allah (SWT) se maanga jayega, Allah (SWT) ataa farmaye ga. Jo shakhs apney ginaho’n ki muaafi maangey ga usy muaaf kr diya jaye ga siwaae in logo’n ke: sudkhor, jaadugar, najumi or mauseeqar (musician)”.

Phir aap(AS) ne aasmaan ki trf dekha or ye duaa farmaii:

“Aey Allah! Aey Dawood k maalik! Jo koi bhi is raat ko ibaadat kry or tujh se muaafi maangey tu usy muaaf farma de”.


CLICK HERE to Earn some money

Naazuk Faislo’n ki Raat:

Pyare bhaiyo! Ye raat itni naazuk hai k koi nhi jaanta is raat kis ki qismat mein kya likh diya jaye. Banda ghaflat mein para reh jaata hai or uski qismat mein najaane kya kya likh diya jaata hai. Ye raat bht hi aham hai or khuda k liye kisi taur bhi isy ghaflat mein na guzariye. Is raat ko Allah (SWT) se apne gunaho’n ki muaafi maangein or khaas kr es COVID19 se nija’at ki dua krein. Insha-Allah is raat ki fazeelat se Allah (SWT) hum pr karam farmaye ga. Hazrat Muhammad (SW) ne farmaya:

“6 logo’n ki is raat bhi bakhshish nhi ho gi; Maa baap ka na farmaan, Sharaabi, zina krney wala, qata’a ta’aluq krne wala, tasveer banaane wala or chughal khor.”

Q k is raat aa’amaal name tabdeel hotey hain is liye koshish krein k 14 Shaban ka roza rkhein or namaz-e-asar ta maghrib ibaadat mein mashghul rahein. Or agr ho sakey toh saari raat hi ibaadat mein guzaar dijiye. Allah (SWT) hum sbko naiki krne or naiki ki dawat dene ki taufeeq ataa farmaye aameen.



Shab-eBaraat ki Ibaadat:

Is raat baad namaaz-e-maghrib 6 nawaafil in niyato’n k sath adaa krein:

  1. Daraazi umer k liye.
  2. Balaa’on se hifaazat k liye.
  3. Or dusro’n ki muhtaaji se bachne k liye.

Or har 2 rakt k baaad Surah-e-Yaaseen prh li jaye ya phr 21 baar Surah-e-Ikhlaas prh lein. Insha-Allah raat k shuru mein hi aap aik ehm ibaadat krein gey. Koshish krein k saari raat ibaadat mein guzaarein or 15 Shaban ka roza rkhein.

Dua hai k Allah (SWT) hum sb pr apna khaas fazl-o-karam farmaye. Mjhe bhi apni duwa’on mein yaad rkhein Allah (SWT) nigehbaan.

Comments