Sasti Shauhrat (Publicity)




Dunya ki aasaishein or lazzatein hamesha se hi insaan k sth sth chimti rhi hain. Hazrat Adam (AS) or Amma Hawwa ko bhi inhi aasaisho’n ne is maqaam pr phunchaya tha or dono dunya mein hi kahi’n kho kr reh gye thy. Akhir insaan aesa q hai? Q usy apny nafs pr control nhi? Q wo dunya k peechy bhaagta hai?

Insaan k dunya mein aaney ka maqsad mehz uska imtehaan hai or wo ye sb jaanty huvey bhi dunyavi chakki mein pista hai. Usy srf paisy or shauhrat ki bhook hoti hai or yhi uski bhook usy jahannam ki aag mein la phenkti hai. Ksi shaa’ir ne kya khoob kha:

“Jagaa ji lagaany ki dunya nhi hai,
Ye ibrat ki jaa hai tamaasha nhi hai.”

Dunya toh bs dhoka hai mgr jisy dekho isi dhoky mein zinda rehta hai or isi dhoky mein is dunya se rukhsat ho jaata hai. Wo shauhrat, wo dawlat, wo jhoot moot ki izzat jis k liye wo sari zindagi khuwaar hota hai, wo sb yhi reh jaata hai or us k sth kya jaata hai? Sirf us k aa’amaal. Insaan ki rooh nikalty hi sb khatam ho jaata hai or wo jo bary thaat baath k sth zameen pr chalta tha, aik takht pr be-jaan para hota hai. Uski bivi, uski aulaad or wo saary azeez rishtadaar sb us se bekhabar ho jaaty hain. Ye zindagi doodh pr chrhi jhaag ki trha hai jo aik mukhtasar waqt k liye rhti hai, aik jalty diye ki trha hai jisy hawa ka aik jhonka mitaa deta hai.

“Ye dunya bhi dhoka, Ye izzat bhi dhoka,
ye shauhrat bhi dhoka, ye dawlat bhi dhoka”

Aap apne baary mein ghaur krein, kya aap ne kbhi Allah (SWT) ki razaa k liye ibaadat ki? Kya kbhi koi naiki srf is gharz se ki k Allah (SWT) apko iska ajar de ga? Yaqeenan nhi ki ho gi q k hum sb jo kuch bhi krty hain sirf or sirf sasti shauhrat k liye krty hain. Aaj jb mein ye likh rha hun toh hr taraf COVID19 ne dehshat phela rkhi hai or saari dunya ko apni lapait mein ly rkha hai kaarobaar band ho chuky, ghareeb roti ko taras rhy or showbaaz log aaj bhi sirf sasti shauhrat k chakkar mein pary hain. Kya yhi naiki aik pardey mein nhi ho skti? Kya is naiki ko Allah (SWT) k han register krwany k liye social media pr dena zaroori hai? Kya ghareeb logo’n ko dunya k saamney laany se hi aap naik logo’n mein shumaar hon gey? 

“Khuda ka azaab na ho toh ho or kya mjh pr?
K ibaadat meri hai naam ki, hai sadqa mera dekhawa”

Mere bhaiyo aesa nhi hai blky naiki toh wo hai jo Allah (SWT) or bandy k darmayaan rhy or ksi teesrey  shakhs tk na jaye. Ye naiki na toh aap Allah (SWT) ki khushnudi k liye kr rhy or na aakhirat k liye blky ye naiki aap sirf in dunya walo’n k liye kr rhy hain. Or aap ki ye dikhavy ki naiki apko srf jahannam tk hi ly jaa skti hai. Jannat ko jaany waala raasta ye naiki nhi jaanti or na hi iska us raasty se koi taaluq hai. Sasti Shauhrat bhi os sasti cheez ki trha hai jo sasti toh hoti hai magr uski mayaad bhut thori hoti hai. Aapki ye sasti shauhrat sirf is aa’arzi dunya k liye hai or ye yhi reh jaany waali hai.

Mein nhi jaanta k mera ye blog kisi tk puhnchy ga bhi ya nhi lekin agr aap isy prh rhy ho toh ghaur se prhna or is ky baary mein sochna k kya ye sahi hai ya ye bhi mehz sasti shauhrat hi ki aik qisam hai. Shayad ye bhi apko sasti shauhrat hi maaloom ho mgr na toh meri aesi koi intention hai or na hi koi soch. Allah (SWT) hum sbko naiki or haq k rasty pr chalny ki tsaufeeq ataa farmaye (Aameen).

Comments

Post a Comment

For any problem, do let us know