Ramadan Special

Ramadan-ul-Mubarak


Maah-e-Ramadan ki aamad aamad hai or ye bht hi rehmato’n or barkato’n wala maheena hai. Ye akhirat sanwaarny ka maheena hai, is k liye pehly se tyaari krna zaroori hai. JO bhi zaroori kaam ap k krne k hain unhe Ramadan-ul-Mubarak se phly hi nibtaa lein or Ramadan ka zyada waqt ibaadat mein guzaarein. Namaaz prhein, Quran-e-Pak ki tilaawat krein, taraweeh ka ehtimaam krein or Allah (SWT) se girrgirra k apny liye, waalidain k liye or tamaam musalmaano’n k liye dua maangein. Khaastaur pe Allah (SWT) se is aafat (COVID19) se nija’at ki dua krein.
Ajar-o-sawaab:
Hazrat Salman Farsi (RA) se riwayat hai k mah-e-Shaban kiaakhri taareekh ko Rasool-Allah (SW) ne hmein aik khutba diya or farmaya:
“Aey logo! Tum pr aik azmat or barkat wala maheena saaya figan ho rha hai, is Mubarak maheene mein aik raat (Shab-e-qadar) hazaar maheeno’n se behtr hai. Is maheeney k roze Allah (SWT) ne farz kiye hain or iski raato’n mein Baargah-e-Khudawandi meib kharey hone (taraweeh parhne) ko nafli ibaadat muqarrar kiya isy dusry zamaany k farzo’n k baraabar sawaab mily ga. Jb k is maheeny mein farz ka sawaab dusry zamaany k 70 farzo’n k baraabar hai.”
Maah-e-Ramadan k 3 ashrey hain:
  • Rehmat ka 
  • Maghfirat ka
  • Dozakh se nija’at ka.

Kin Cheezo’n se roza makrooh/toot’ta nhi:
  • Injection lagwaany se.
  • Zaroorat k waqt khoon charhwaany se.
  • Kulli krna.
  • Apna lua’b nigalna.
  • Zaroorat k waqt koi cheez chakhna.
  • Nakseer phutna.
  • Chot ki waja se jism se khoon nikalna.
  • Zehreeli cheez ka dasna.
  • Mirgi parna.
  • Ehtilaam (Night-fall) hona.
  • Bachy ko doodh dena.
  • Bhool kr biwi se suhbat krna.
  • Bhool kr kuch kha lena.
  • Ulti (vomiting).

Roza makrooh ho jata hai:
  • Kisi bhi cheez se daant saaf krna.
  • Bila zaroorat kisi cheez ko chakh kr thook dena.
  • Gheebat krna.
  • Kisi jaandar ya be-jaan cheez ko gaali dena.
  • Khoon dena.
  • Inzaal hone k darr se biwi k sath letna y bos-o-kinar krna.

Roza toot jaata hai:
  • Daant se khoon ya peep ka nikal kr halaq mein jaana.
  • Naak ya kaan mein koi dawa daalna.
  • Khud pr jaan bujh kr ghusal farz krna.
  • Jaan bujh kr biwi se suhbat krna.
  • Muh bhar kr ulti kr lena.
  • Huqah, tambaaku ya koi dusra nasha krna.
  • Kacha gosht ya chawal kha lena.

NOTE:
Upr diye gye tamaam masaail darj zail kutb se liye gye hain:
  • Ehkaam-e-Ramadan (Mulana Mufti Muhammad shafi)
  • Faizan-e-Ramadan (Mulana Illyas Attari)
  • Roze k zaroori masaail.

Dua hai k Allah (SWT) hum sb ko Ramadan-UL-Mubarak ka ehtiram krny or Gunah se bachne ki taufeeq ataa kry (Aameen).

Comments

Post a Comment

For any problem, do let us know